Terms & Conditions
Yeh shartein IFN Cyber Zone (IFN Digital Marketing – MyIFN Web) dwara chalaye ja rahe IFN Web Store (https://store.ifninfo.com) ke istemal aur yahan se kharidi gayi har service par laagu hoti hain. Order karke aap in sharton ko sweekar karte hain.
1. Services
Hum ready-made website/portal (demo ke anusaar), custom software, mobile app, hosting, domain aur sambandhit services dete hain. Har project ka scope uske product page, chune gaye add-ons aur order ki jaankari se tay hota hai. Scope se bahar ka kaam alag charge par hoga.
2. Price aur payment
- Saari keematein Indian Rupee (₹) mein hain. Hum GST Composition Scheme mein hain, isliye har payment par Bill of Supply diya jaata hai.
- Order par poora payment ya tay advance (aam taur par 80%) dena hota hai; baaki raashi website live/handover se pehle.
- Payment UPI ya bank transfer se hota hai. Payment confirm hone ke baad hi kaam shuru hota hai.
3. Requirements aur delivery
- Delivery ka samay (aam taur par 7–15 din) poori requirements milne ke baad se gina jaata hai.
- Logo, content, photos aur details sahi aur kanooni roop se istemal yogya ho, yeh grahak ki zimmedari hai.
- Grahak ki taraf se der hone par delivery utni hi aage badh sakti hai.
4. Revisions
Har project mein 2 revision free hain (project page par alag likha ho to woh). Iske baad har extra revision ka charge (abhi ₹999) order mein joda jaata hai. Naye feature/module ko revision nahi maana jaata.
5. Hosting, domain aur renewal
- Hosting/domain/email/VPS chuni gayi avadhi (mahina/saal) ke liye hai. Expiry se pehle renewal grahak ki zimmedari hai; hum 15 din pehle reminder bhejte hain.
- Expiry ke baad service band ho sakti hai aur data hamesha ke liye hat sakta hai.
- Domain registrar ke niyam bhi laagu honge.
6. Ownership aur license
Poora payment hone ke baad grahak ko apni website ka content aur us domain par website chalane ka adhikar milta hai. Ready-made design/code ka reuse ya resale bina likhit anumati ke mana hai. Third-party plugins/themes unke license ke anusaar.
7. Grahak ki zimmedari
Website par koi gair-kanooni, bhraamak, copyright todne wala ya hanikarak content nahi rakha jaayega. Aisa paaye jaane par service band ki ja sakti hai.
8. Zimmedari ki seema
Hum kaam ko poori lagan se karte hain, lekin business nuksaan, third-party (hosting provider, payment gateway, Google) ki samasya ya grahak ki galti se hone wale nuksaan ke liye zimmedar nahi honge. Kisi bhi sthiti mein hamari zimmedari us order ki paid raashi tak seemit hai.
9. Cancellation aur refund
Refund Policy dekhiye.
10. Vivaad
Kisi bhi vivaad ko pehle baatcheet se suljhaya jaayega. Na suljhne par adhikar kshetra Maharajganj (Uttar Pradesh) ke nyayalay honge.
11. Sampark
IFN Cyber Zone, Maharajganj, Uttar Pradesh 273303, India · +91 96481 86793 · care.ifn@gmail.com
